Monday, March 9, 2009

Its HOLI tomorrow

Kuch kagaz ke tukde hai, pencil hai, pen hai, siyahi bhi hai
Kuch yaadein hai, tanhai hai, khusiya bhi hai
Kuch ankahi si baaten hai, kahne ki khwahish bhi hai
Kahi to koi bhule bhatke ghumta hai,
Kahi kisi ke liye par rangeen bistar hai
Lekin ...
Kahi aisa ek dil bhi hai
Jo dono ke irt girt jhumta bhi hai
Ek hi gali hai, do ghar hai
Ek me andhera hai to dusre me diya jalta hai

Kahi pani nahi hai to kahi sharaab ki nadi bahti hai
Par tum ghabrao mat mere dost
KAL HOLI HAI
Aur charo aur bhang hi bhang hai!!!!

(If you wish you can ignore the last para! otherwise i thought the poem was brilliant, ha ha ha)